Self Confidence Kaise Badhaye? आत्मविश्वास क्या है? कॉन्फिडेंस बढाने के तरीके?


Dear Readers, Aap rojamarra ki zindgi me dekhate honge ki jo log apna har kaam self confidence ke sath karte hai vo log bahot jald apni ek nayi pehchan banane me kamyab hote hai, or to or unka kam bhi ekdam satik tarike se pura karte hai jabki aatmvishwas ki kami ke karan bahot sare aise log  hote hai jo talent hone ke bavjud picche chhut jate hai.

 Self Confidence Badhane ke tips

Humne bahot sare student, employees,teachers jaise logo se bat karke ye jana ki self confidence ki kami ye bahot badi samasya hai jiske karan talent hote huye bhi log kamyab nahi ho pate hai to chaliye jante hai aatmvishwas badhane ke kucch tips. self confidence essay hindi.






Pehle hum jante hai ki hamare self confidence ki kami ka mukhy karan kya hai? aatmvishwas kya hai? kin karano ki vajah se aatmvishwas me kami aa sakati karan jante hai. aur sath me jaanate hai confidence badhane ke tips.



Aatmvishwas Kaise Badhaye? Self Confidence Kaise Badhaye? Self Confidence in hindi.





  • Dar.


Ye ek eisa karan hai jiski vajah se log aksar self confidence gavaa baithte hai. dar aapko tabhi darata hai jab aap darte ho aap jitna jyada daroge utna aap apna aatmvishwas gavavoge.



  • Tayari ki kami.


Aap hamesha kam tayari ke sath hi maidan me utar padte hai jiske vajah se aap aapka accha performance nahi de pate. tab aapko kya karana chahiye? bhai aasaan karan hai aap hamesha kabhi bhi jo bhi cheez/kaam karne jaye uski pehle puri tayari kar lijiye phir us kam ko shuru kare.



  • Failure.


Ham hamesha failure aane ke bad apna self confidence kho dete hai our bahot dino tak usi gam ko lipte rehte hai jabki failure success ki peheli sidhi hai our fail to wohi hota hai jo kuchh karta hai. iska matlab agar aap kisi cheez mai fail hote ho to iska matlab hai aap try kr rhe ho isliye darne ki koi zarurat nahi hai. Aapne vah gaanaa to avashya hi suna hoga man me hai vishwas, pura hai vishvas, to bas isi song ki tarah aapka pakka aatmvishwas hona chahiye.



  • Dusare Ki Burai Karana.


Ye ek aisa hatyar hai jise aap to bahot badhiya samajte hai. lekin ye apko andar hi andar khuredta hai, to dusro ki burai karne ke bajaye agar hum apni kamiyo par dhyan denge to nishchit hi aapka self confidence badhega.



  • Adhuri jaankari.


Ham jis bhi kshetra me ho vaha safalta hasil karne ke liye ek basic jaankari ki jarurat hoti hai vo agar na ho to ham piche chhutne lagte hai jiski vajah se hamara self confidence kam hone lagta hai isiliye hum jis bhi kshetra me kam kre uski ek basic jankari jarur rakhe jiski vajah se aap competition me tik sake.



  • Galtiyaan.


Galtiyaan hone ke bad hum toot padte hai or apna confidence kho dete hai jabki agar hum galatiyon se sikhe or use sudhar kar aage badhe to nishchit hi hamara aatmvishwas boost hoga galti se seekh ek badi hi  badhiya tecnic hai jo aapke self confidence ko badha degi.


Ye to humne aatmvishwas kam hone ke karan dekhe ab dekhate kuchh eisi bate jo aapke aatmavishwas  ko  behad bade praman me badha dengi or aapke vyaktitva ko char chand laga denge.




Self Confidence Quotes in Hindi.



  • Practice.


Vo kehte hai na practice makes man perfect agar hum practice na kare to kitna b jan le to hum badhiya performance nai de payenge. kyoki agar aap tairana chahte ho to aapko pani mai utarna padega sirf jankari hone se kuchh nahi hota.



  • Khud Pe Vishwas.


Ham aksar ye soch ke dukhi hote hai ki koi hampe bharosa nai karta jab ki hum khud apne aap par bharosa nahi karte isiliye pehle aapne aap par bharosa karna seekhe uske baad duniya aap par vishwash karegi. agar aap ka khud par vishavas hai matlab yah aapka self confidence hai.



  • Be Positive.


Duniya me do tarah ke log hote hai har positive cheez me negativity dhoondne wale our har negative cheez me positivity dhoondne wale to aapko dusre wale log banna hai. kyoki jo insan negative situation me bhi positive reh sakta hai vo duniya ki har samasya hal kar sakata hai. isiliye apni positivity ko jyada se jyada badhane ki koshish kare.



  • Anubhav.


Anubhav duniya ka behatarin shikshak hai. kyoki vo kahte hai masters paida nahi hote unko banana padta hai usi tarah aap jis bhi kshetra me ho jab tak aapko kuchh cheezo ka anubhav nahi aa jata aapke bheetar kuch na kuch kami reh hi jayegi. isiliye apne self confidence ko badhane ki koshish kare



  • Take risk.


Jo confident log hote hai wo risk uthane me hichkichate nahi hai isiliye risk uthana seekhe jiski vajah se aapke aatmvishwas me badhotri mehsoos hogi.

Risk uthane ke bad aapko aapni galtiyon ka andaja aa jayega our aap us galti ko sudhar kar aatmvishwas badhayenge



  • Focus.


Aapka focus kitna clear hai ye aapka self confidence tay karne me badi aham bhumika nibhata hai . agar aapka focus clear hai to aap kabhi dagmagayenge nahi isiliye apne focus ko banaye rakhe


To ye te kuchh self confidence badhane ke tarike jo aapke aatmvishwas me badhotari lane ke liye kargar sabit honge. inhe thik se padhe or samajkar jindgi me agae utara jaye to aap self confidence se bharpur ho jaoge our duniya par aapki ek alag chhap padegi.


Agar aap ko ye Self Confidence Kaise Badhaye? aatmvishwas kaie badhaye? yah article accha lage to aapne friends relatives ko jarur share kare. isi prakar ki motivation or inspirational tips ke liye blog ko jarur subscribe kare.

***********

Post a Comment

3 Comments

  1. Very nice post

    ReplyDelete
  2. […] आत्मविश्वास बढ़ने के लिए-यदि आपके अंदर आत्मविश्वास की कमी है। यदि आपका बच्चा पढाई में पिछड़ा है तो माता पिता यह उपाए कर सकते है। तो आपको पीले कपड़े पेहेन कर पूजा स्थान पर अभिमंत्रित सरस्वती यन्त्र रखकर उसे धुप दीप दिखाए और ॐ ह्रीं ह्रीं ह्रीं सरस्वत्यै नमः मंत्र की 11 मालाएं जाप करे। इसके बाद यन्त्र को पूजा स्थान में या फिर बच्चे के पढ़ाई वाले स्थान पर रखे। बसंत पंचमी के बाद 11 गुरुवार तक यह क्रिया करने से असाधारण परिणामो की प्राप्ति होती है। […]

    ReplyDelete

Thanks For Commenting On Your Family ! Yes Blog Name Is Indian Hindi Readers So All Is Our Blog Family Members.