Baccho Ko Compare Karane Se Pahale 7 Points Check Kare- बच्चो को टेंशन देने वाली बाते.

Dear Readers, aaj ka article har maa-baap ke liye mahatvpurn hai jo apne childrens ko other bachho ke sath hamesh har cheej me compare karate rahate hai. isi baat par sandip maheshwari ka ek famous seminar tha jisme unhone kuch niche diye gaye points ko baccho ko compare karane ke upar cover kiya tha jo har mothers and fathers ko padhane chahiye.Baccho Ko Compare Karane Ke Nuksan

Baccho ko compare karna band karo.


Kya aapko lagata hai aapke kisi bhi chote baccho ko kisi dusare boys and girls ke sath compare karane se unke education, sport  ya other kisi bhi field me achi performance laaa sakate hai?

> Read - Self Confidence Kaise Badhaye? आत्मविश्वास क्या है? कॉन्फिडेंस बढाने के तरीके?

Agar Sandip maheshwari ka seminar agar aap attend karenge to aapko baccho ko compare karane ke nuksan ke baare me behad jaruri jaankari mil jayegi.

Agar aap apne baccho ka comparison kisi dusare bachho ke saath karate hai to yah article aapko ek baar avashy padhana chahiye jo aapke aur baccho ke bhavishy ke liye behad jaruri hai.

Baccho ke dimag par bura asar karane vale 7 points.



  1. Ham bachho ko bade bure tarike se compare karte hai. Tere itne kam marks aaye hai, Tere 55% hi marks kyo aye. Yaha tak to thik hai lekin padosi ke 90% aye hai tere kyo nahi. ye galat hai iske vajah se baccho ke andar tension badhta hai or tension hi gusse ki jad hai. or to or tension hi depression ka karan hai qki agar tension daba diya to bachche depressed ho jate hai. or agar bol diya to problem ho jati hai.

  2. Bachho ko compare karne se pahle hame aapne ap ko shise (Mirror)me dekhna chahiye ki agar bacche hame compare karne lage to hame kaisa lagega? vaise hi jaise ham bachho ko compare karte hai.

  3. Har bacche ke andar ek special powers hai, har bacche ke andar kuchh kamal ki cheeze hoti hai. ham kya karte hai vo kamal ki cheeze chod kar unko ek dayre tak simit karkar uske base par uske upar zindagi bhar ke liye uske upar thapka laga rahe hai, ki tere number kam aaye iska matlab tu bewkoof hai.

  4. Uske number jyada aaye iska matlab vo genius hai. genius ka number se kya connection hai. ham hamesha do galtiyan karte hai ya to ham bachho ko chane ke ped par chadhate hai ya to uske niche dabate hai dono hi kam ke nahi hai.

  5. agar baccha kuch accha karta hai to uski jitna usne kiya hai utni hi tarif kar rhe hai or agar usne kucch galat kiya to akele mai baith ke use ham samjha rahe hai. usko bolte hai samajhdari.

  6. Jaha competition hota hai vaha compering hoti hi hai. competition matlab har taraf race hai or hame bhi is race me agar tikna hai to competition karna hi hoga. compering bhi usi ke sath ayegi lekin hame bahar se to competition karna hai lekin andar se hame unhe kisi ke sath compare nahi karna hai.

  7. Ye tabhi ho sakta hai jab aap khud ko kisi ke sath compare nahi karte. jabtak aap khud ko kisi or ke sath compare karna band nahi karte hai tabtak ham apne baccho ko compare karna nahi chhod sakte. Har ek parents ko samajh aana chahiye I'm unique waise hi mera bacha bhi unique hai. agar itni si bat aapke pakad me aa jaye to life badhiya ho jayegi aapki bhi or aapke bacche ki bhi.


> Read - Computer Types Kitane Hai? Super Computer Or Difference Type Of Computers.

Baccho Ko Compare Karane Ke Fayde Aur Nuksaan.


Har Mata - Pita Ko apne baccho se kaise baat kare, Baccho Ke Sath Kaise Anushasit Kare, Baccho Ko Kaise Padhaye etc ke upar khaas dhyan jarur dena hoga. varna Baccho ko compare karane ke fayde utne nahi jitne baccho ko compare karake sikhane Se nuksaan hai.

Agar aap Baccho Ko Compare Karane Ke Fayde Search Kar Rahe Hai to yah aap sirf samay barbaad kar rahe hai. isme sirf aapke childrens ki health kharab hogi, depression high hoga, har samay vah aapko dushman ki najar se dekhega. agar aap baccho ki dekhbal kaise kare yah soch rahe hai to compare karna chhod dijiye.

Agar Aapko Sandip Maheshwari Ka seminar attend karana ho to aap YouTube se bhi kar sakate hai jo baccho ko compare karane par kya ho sakata hai iski janakari dega.

Aasha karate hai baccho ko compare karane se kya hota hai yah article aapko pasand aaya hoga. Isi tarah sandip maheshwari ke article aapko internet par kai sare milenge jinhe aapko avashy padhne chahiye.

************

Post a Comment

0 Comments