Dosto ham aaj aapse ek bat share karna chahte hai. har aadhami ko man ki shanti chahiye, elkin unhe yah samjana chahiye ki aajka samay bahot hi fast ho chuka hai isi vajah se hamara mansik tension hamesha badha huva rahta hai. isi samay log kahate hai ki aapke ghar me kisi ne koi kala jadu kiya hoga ya phir koi tantrik vidya ki hogi jiske chalate aapke ghar me shanti nahi rahati. lekin yah sarasar galat hai sabase pahale to ham aapne parivar ko bhi time nahi de pate usi vajah se bahot bar parivar me tanav ki sthiti paida ho jati hai. man ki shanti ke liye parivar ko samay dena behad jaruri hai.
Read - 15 Best Ladki Patane Ke Tarike. Ladki Kaise Pataye Top 15 Points?
Kyoki ab har koi apni apeksha puri karna chahta hai eise me agar kisi ki apeksha adhuri rah jaye to vo chid chida ho uthta hai. isiliye parivarik sambandh bighad rahe hai lekin agar ham thodisi samjhdari dikhaye to hamare parivarik sambandh aadarsh ban sakte hai. to chaliye dekhte hai kuch eise hi tips jo aapko aapke parivarik sambandh majboot karne me kargir sabit hongi jisse kisi tarah ke pati patni ke jhadade nahi honge. Ye hai vo man ki shanti banaye rakhane ke aur ghar me sukh shanti banaye rakhane ke 15 tips...
Parivar Ki Man Ki Shanti Ke 15 Tips In Hindi.
- Ek vakt par ek hi vyakti dvara gussa hona chahiye. matlab agar koi or gusse me hai to aap shant rahiye yah man ki shanti ke liye behad jaruri hai.
- Agar galti aapki hai to use turant accept kijiye mafi bad me bhi mangi to bhi chalega. mafi mangane se aapko aantarik man ki shanti milegi.
- Gharme koi bhi bat mat chhupaiye har bat share kare jisse vishvas badhega. yah sabase bada grah shanti mantra samaj sakate hai aap. bibi ko ignore karo kyoki agar vah sochate hai ki pati ko control kaise kare to yah unki nadani hai esa samaj ke chhod de.
- Ghar me har kisi ko chahe vo bacche hi q na ho unko bhi man or apna khudka opinion hai ye yad rakhe. unhe bhi aapki tarah man ki shanti chahiye hoti hai. unka kahna samajiye aur shant rahiye.
- Aapne pati/patni ya phir bacche hamari property hai ye bat dilse nikal dijiye har koi swatantra hai ye yad rakhiye.
- Gharme har kisi ko space dijiye or diye huye space ka thik se upyog kijiye. Atirek na karna ye aapki jimmedari hai.
- Agar thoda bahut dusre ke liye kuch kiya to jyada fark nahi padta. Kijiye lekin bolke mat dikhaye.
- Hamara swabhav jaisa hai waisa hi dikhaye. Ham bahot kuch vishesh kar rahe hai ye samaj man se nikal de.
- Aapne guno ko vakt de, dusroke guno ki tarif kare, dusre aapki tarif kyo nahi karte ye mat sochiye. aapke aur parivar ke man ki shanti ke liye yah bhi best option hai.
- Boliye, sochiye lekin sab gharme, bahar walo ko bich me mat khinchi ye. Kyoki bahar walo ko beech me khinchane se gharme hi problem badhegi. agar aap esa karate hai to nahi aapke parivar me shanti banegi aur na hi aapko man ki shanti mil payegi.
- Aapni juban par shakkar or sir par barf rakhe. Yani ki hamesha achha boliye or shant rahiye. man ki shanti ke liye yoga bhi kar sakate hai aap.
- Jivan bahot hi sundar hai mai usko jyada sundar banana chahta hu. Yah bat hamesha yad rakhe or cheezo ko bhulna sikho.
- Sabse mahattvapoorn bat jo hamesha khush rahte hai unke sahvas me rahe. hamesha shikayatein mat kijiye. sir dard denewala rishta sabko bura lagta hai.
- Jis samay aapka man kahi bhatak raha ho, aapko esa lage ki kuch kar jana hai, parivar me abhi kuch samay pahale hi jhagade huye ho to us samay aap man ki shanti ke liye meditation songs suniye.
- Apne man ko kabu karane ke liye koi aur kuch nahi kar sakata. jo bhi karna hai aap hi ko karana hai jivan ka mantra yahi hai khud khush raho dusaro ko khush rakho.
Accha laga na dosto ham aise hi chhoti chhoti cheezon se apni zindagi khubsurat bana sakte hai. lekin ham apne kuch khudke hi banaye mayajal mai fase rahte hai jisse hamari zindagi se man ki shanti kho jaati hai parivaar me ashanti bani rahati hai.
> Read - Top 10 Self Care Tips जानिए हिंदी मे. Self Care कैसे करनी चाहिए १० टिप्स.
- Aasha Karate Hai Aapko Parivar Me Shanti Kaise Banaye Rakhate Hai? yah article pasand aaya hoga. To chaliye ye jankari aap apne friends and relatives ke sath share kijiye or unko bhi apni zindagi khubsurat banane ka mauka dijye or bharpur share karke ke aap jaise hi dusro ko bhi man ki shanti ka labh lene ka mauka dijye.
****************
0 Comments
Thanks For Commenting On Your Family ! Yes Blog Name Is Indian Hindi Readers So All Is Our Blog Family Members.